Saturday 12 January 2013

hadees of the dayy


Khadim Se Husn-E-Sulooq ……

Khadim Se Husn-E-Sulooq
Hazrat Anas Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Maine
Rasoolallah Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Khidmat 10 Baras Tak Ki.
Kasam Khuda Ki, Kabhi Aap Sallallahu Alayhi Wasllam Ne Mujhko
Uff Tak Na Kaha Aur Na Kabhi Ye Kaha Ki Tune Ye Kaam Kyu Kiya.? Aur
Ye Kaam Kyu Na Kiya Jo Khadim Ko Karna Chahiye Tha.
-: (Sahih Muslim : Jild-6, Hadees-5 976)

Ghusal Ki Zarurat Ho Aur Paani Na Ho Toh ……

♥ Ghusal Ki Zarurat Ho Aur Paani Na Ho To Tayyamum Karke Namaz Parho ♥
Imran Bin Husain Al-Khuzai Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasoolallah Sallallhu Alayhi Wasallam Ne Ek Aadmi Ko Dekha Ki Alag Khada Hua Hai Aur Logon Ke Saath Namaz Me Sharik Nahi Ho Raha, Toh Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Ki,
Aye Falah! Tumhe Logon Ke Saath Namaz Parhne Se Kis Cheez Ne Rok Diya Toh Usne Arz Kiya Ya Rasoolallah Sallallhu Alayhi Wasallam Mai Junubi Hu (Yani Mujhe Ghusal Ki Zarurat Hai) Aur Paani Nahi Hai.
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya, Phir Tumko Paak Mitti Se Tayyamum Karna Zaruri Tha Wo Tumhare Liye Kaafi Ho Jata.’
-: (Sahih Bukhari : Jild-1,Page-318 )

Beemari (Bukhaar) Ek Neyamat ……

Bukhaar (Momeen Ko) Gunaho Se Paak Kar Deta Hai ….
♥ Hazrat Abu Huraira Radiallahu Taala Anhu Ne Farmaya Ki
‘Rasool-e-Kareem Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Ke Pass Bukhar Ka
Charcha Kiya Gaya, Toh Ek Shaks Ne Bukhar Ko Bura Kaha.
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
Bukhaar Ko Bura Na Kaho, Iss liye Ki Wo (Momeen Ko) Gunaho Se Iss
Tarah Paak Kar Deta Hai, Jaise Aag Lohe Ki Mail Ko Saaf Kar Deta Hai.’
-: (Ibne Maja)
♥ Nabi-E-Pak Sallallahu Alaihi Wa Sallam Jab Kisi Bimaar Ki
Ayaadat Ke Liye Tashrif Le Jaate Toh Farmate,
“Koi Dar Nahi! Bimaari Gunaahon Se Paak Karne Wali Hai”.
-: (Bukhari Sharif)
Gunaho Ko Muaf Karvati Hai Beemari ……
♥ Hazrat Abu Saeed aur Abu Hurera (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Se Riwayat Hai Ke
Nabi-e-Kareem ( Sallallahu Alaihay Wasallam ) Ne Irshad Farmaya Ke,
‘Musalman Ko Jo Bhi Thakan, Beemari, Fikar, Gham Aur Takleef Pohanchti Hai,
Hatta Ke Kaanta Bhi Chubtah Hai Toh
Iski Waja Se Allah Ta’ala Uske Gunaho Ko Muaf Farma Deta Hai’.
-: (Muslim Sharif , Bukhari Sharif)
♥ Hazrat Abdullah (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Bayan Karte Hai Ki Main
Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ke Paas Unki Bimari Me Gaya Toh Aap Ko Tez Bukhar Tha.
Maine Arz Kiya Huzoor! Apko Tez Bukhar Hai, Iss liye Apko Dohra Sawab Milega?..
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya:
“Haa Koi Musalman Aisa Nahi Hai Jo Kisi Pareshani Me Ho Toh Allah Uske Gunaho Ko Aise
Door Kar Deta Hai, Jaise Pedh Se Pattay Jharh Jate Hai.”
-: (Sahih Bukhari)
Nahi Pahuchti Musalmaan Ko Koi Taklif, Marz Ya ….
♥ Hazrate Abdullah Ibne Masud Radiallahu Taala Anhu Ne Kaha Ki
Rasool-e-Kareem Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki
‘Nahi Pahuchti Musalmaan Ko Koi Taklif, Marz Ya Uske Siwa Kuch Aur!
Lekin Allah Taala Uss Ke Chote Gunaho Ko Jhaad Deta Hai, Jaise
Darkht (Tree) Se Patte Jhaadate Hai.’
-: (Bukhari Sharif, Muslim Sharif)
«

Nek Bande Burayi Ka Badla Burayi Se Nahi Dete ……

Hazrat Hasan Basri (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Se Kisi Shaks Ne Aaker Kaha Ki Fala Shaks Ne Aapki Geebat Ki Hain! Hazrat Hasan Basri Ne Usi Waqt Taza Choo-aare Mangwaye Aur Ek Tabaak (Thaal) Me Rakhker Uneh Bataur Tohfa Bheja, Ki Mai Aapka Shukr-Guzaar Hoon Ki Aapne Meri Geebat Karke Apne Nekiyon Ko Mere Nama-A-Aamaal Me Muntakil (Dakhil) Kerdiya Hain! Aapke Iss Ehsaan Ka Badla Mai Nahi Chuka Sakta! Yeh Hakeer-sa Tohfa Kubul Farmayiye!
Wo Shaks Hazrat Hasan Basri (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Ke Iss Sulook Ko Dekhker Bada Sharminda Hua Aur Aapki Khidmat Me Haazir Hoker Muafi Chahi!
-: (Sacchi Hiwayat, Hissa-3, Pg-458)
SABAK :- Kisiki Geebat Karne Se Sarasar Apna Hi Nuksaan Hota Hain! Jiski Geebat Ki Jaye Wo Faide MayRehta Hain! Uski Nekiyan Usko Miljati Hain! Lihaza Geebat Se Bachna Chahiye!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Nek Bande Burayi Ka Badla Burayi Se Nahi Dete Balki Burayi Ke Badle Bhi Neki Hi Karte Hain!

Momino Aapas Me Jhagra Na Karo ……

♥ Al-Quran ♥
Aur Khuda Aur Us Ke Rasool (Sallalahu Alaihi Wasalam) Ke Hukm Par Chalo
Aur Aapas Me Jhagra Na Karna Ke Aisa Karo Ge Toh Tum Buzdil Ho Jao Ge
Aur Tumhara Iqbaal Jaata Rahe Ga Aur Sabr Se Kaam Lo.
Ke Khuda Sabr Karne Waloun Ka Madadgaar Hai.
-: (Surah : Al-Anfaal, Ayaat-46)


Maa-Baap Ki Khidamat ……
Hazrat Abdullah Bin Amr (Raziallahu Anha) Se Riwayat Hai Ki
Ek Aadmi Ne Rasoolallah Ki Khidmat Me Haazir Hokar Arz Kiya,
‘Mai Hijrat Ki Bait Karne Ke Liye Aapki Khidmat Me Haazir Hun,
Aur Apne Maa-Baap Ko Rote Hue Chhod Kar Aa Gaya Hun’
Rasoolallah Ne Farmaya :
Waapas Jaao, Aur Jis Tarah Unhe Rulaaya Hai, Usi Tarah Unhe Hasaao.’
-: (Sunan Nisai, Kitabul Bait, Baab Bait Al Hijra, H 4174)
Sabab : Maa-Baap Ki Khidamat Karna Behtar Amaal Hai …

Rishteydaron Ke Saath Achcha Suluq Karey ……

♥ Mus’ab Bin Saad Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Sad Bin Abi Waqqas Radiallahu Anhu Ko
Ye Khayal Tha Ki Unhey Dusre Sahaba Par (Apni Maaldari Aur Bahaduri Ki Wajah Se) Fazeelat
Hasil Hai, Toh Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki, Tum Logon Ko Kamzor Maazur
Logon Ki Duaaon Ki Wajah Se (Allah Ki Taraf Se) Madad Aur Rizq Diya Jata Hai.
-: (Sahih Bukhari, Vol 4, 2896)
♥ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne
Farmaya, ‘Jo Ye Chahe Ki Uski Rozi Bad Jaye Aur Uski Umar Lambi Ho Jaye Usey Chahiye Ki
Sila-Rahmi (Rishteydaron Ke Saath Achcha Suluq) Karey.’
-: (Sahih Bukhari, Vol 7, 5985)

Haq Per Hone Ke Ba-Wajood Bhi Jhagda Chhod Do …..

Hazrat Umamah Raziyallahu Anhu Riwayat Karte Hai Ki, Rasoolullah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya :
‘Mai Uss Shakhs Ke Liye Jannat Ke Atraaf Me Ek Ghar(Dilane) Ki Zimmedari Leta Hoon Jo Haq Per Hone Ke Ba-Wajood Bhi Jhagda Chhod De, Aur Uss Shakhs Ke Liye Jannat Ke Darmiyan (Beech Me) Ek Ghar (Dilane) Ki Zimmedari Leta Hoon Jo Mazaq Me Bhi Jhooth Chhod De, Aur Uss Shakhs Ke Liye Jannat Ke Buland Tareen (Bahut Aala) Darje Me Ek Ghar (Dilane) Ki Zimmedari Leta Hoon Jo Apne Akhlaq Achhe Bana Le’
-: (Abu Dawood)

Mera Banda Mere Baare Me Jo Gumaan Rakhta Hai ……

Hazrat Abu Hurairah (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Kehte Hain Ki
Rasulallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki,
Khudawand Ta’ala Farmata Hai Ki, Mera Banda Mere Baare Me Jo Gumaan Rakhta Hai,
Mai Uske Liye Aisa Hi Hoon, Jab Woh Mujhko Yaad Karta Hai Toh Mai Uske Saath Hota Hoon,
Woh Dil Mai Mujhko Yaad Karta Hai Toh Mai Bhi Usko Dil Mai Yaad Karta Hoon,
Aur Logo Me Mujhko Yaad Karta Hai Toh Mai Unn Se Behtar Makhlook Me
(Farishto Ki Jamaat Me) Uska Zikr Karta Hoon, Woh Meri Taraf Ek Baalisht Barhta Hai
Toh Mai Uski Taraf Ek Haath Barhta Hoon, Woh Meri Taraf Ek Haath Barhta Hai To Mai
Do (2) Haath Barhta Hoon, Woh Dheere Dheere Meri Taraf Aata Hai Toh Mai Daud Kar
Uski Taraf Jata Hoon.
-: (Sahih Bukhari Jild 3, Para 30, Page 542, Hadees 2255 Tawheed Ka Bayaan)
-: (Sahih Muslim Jild 2, Page 194, Hadees 953 Baab 447 Dua Ka Bayaan)


Namaz Na Padhne Walo Ke Munh Kale Kiye Jayenge …..

Huzur Sallallahu Alahi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
“Qiyamat Me Sabse Pahle Namaz Na Padhne Walo Ke Munh Kale Kiye Jayenge,
Phir Sanpo (Snake) Ki Waadi Lam-Lam Me Phenk Diye Jayenge, Waha Ke Saanp
Ounth Jaise Honge, Waha Be’namazi Ko Dasenge, Unka Zeher 70 Saal Tak
Badan Me Josh Marta Rahega Aur Gosht Gal Jayega”
-: (Mukashfatul Quloob)