Saturday 29 December 2012

FARMAN-E-NABI


Allah Ke Kuch Bande Aise Hai Jo Na Toh Nabi Hai Aur ……

Date: 29-12-2012 

Nabi-e-Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya”
Allah Ke Kuch Bande Aise Hai Jo Na Toh Nabi Hai Aur Na Hi Shaheed
Lekin Qayamat Ke Din Allah Ki Taraf Se Unn Ko Milne Wale Rutbe Par
Ambiya Aur Shohda Bhi Rashk Karenge,
Yeh Wo Log Hai Jo Baghair Kisi Rishta Dari Aur Lain-Dain Ke
Sirf Allah Ki Raza Ke Liye Ek Dusray Se Mohabbat Karenge,
Un Ke Chehre Roshan Honge Aur Wo Noor Ke Mimbaron Par Jalwa Gar Honge”
-: (Abu Dawood, Hadis # 3527, Page # 1485)


Salaam Me Pahal Karne Wala Ghamand Se Paak ……

Hazrat Abdullah (Radi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasoolallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya :
“Salaam Me Pahal Karne Wala Ghamand Se Paak Hai.”
-: (Mishkat Sharif, Jild 2, Page-684, Hadees-4434)


Sari Zameen Namaz Ki Jagah Hai Siwaye ……

Hazrat Abu Saeed Khudri Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki,
Rasoolallah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya:
“Sari Zameen Namaz Ki Jagah Hai Siwaye Hamam Aur Maqbara(Kabristan) Ke.”
-: (Sunan Abu Dawud Jild-1, Hadees-490)


Neki Ke Elawa Koi Cheez Umer Mein Zaydati Nahi Karti ……

Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
Neki Ke Elawa Koi Cheez Umer Mein Zaydati(Badhotari) Nahi Karti,
Aur Takdir Ko Dua Ke Siwa Koi Cheez Nahi Taal Sakti
Aur Insaan Apna Aaya Huwa Rizq Apne Gunaho Se Taal Deta Hai.
-: (Ibne Majah, Jild : 2, Page-497, Hadees No-1821 )