QURANI AYATE/SURAH






(Aye Imanwalo) Tum Sabse Bahetar Ummat Ho...

Main Tumhe Pith Ke Piche Se Bhi Dekhta Hoon ……

Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
“Tum Kya Yehi Dekhte Ho Ke Mera Munh Idhar Hai, Allah Ki Kasam!
Mujh Par Na Tumhara Khushu Wa Khuzu
Poshida (Humility And Fear Of Allah) Hai Aur Na Tumhare Ruku.
Main Tumhe Pith Ke Piche Se Bhi Dekhta Hoon.
-: (Bukhari, Jild : 1, Page : 255)

Azaan Aur Iqaamat Ke Darmiyan Dua’en Radd Nahi ……

Nabi-e-Rehmat (Sallallaho Alahi Wasallam) Ne Farmaya :
“Azaan Aur Iqaamat Ke Darmiyan Dua’en Radd Nahi Hoti,
Lihaza Dua Maanga Karo”
-: (Bukhari Sharif)

Ehteraam-E-Hadees ……

Hazrat-E-Imaam Maalik Radi Allahu Anhu Ek Martaba Huzur Salallahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ki Hadees Bayaan Farma Rahe The Ki Logo Ne Dekha Ki Aapka Chehra Kisi Takleef Ke Baa’is (Wajah) Zard Ho Raha Hai, Aur Bade Be-Chain Ho Rahe Hain, Bawajud Iske Aap Ne Hadees Ka Dars Tark Na Farmaya. Aur Ba-Dastur Bayan Farmate Rahe
Aur Jab Bayan Khatm Farma Chuke To Logo Ne Wajah Daryaaft Ki, To Aap Ne Qamees Utaar Di Jis Me Ek Bichchhu Nikla. Jisne 6 Daf’a (Baaz Kitabo Me 70 Daf’a Bhi Aaya Hai) Hazrat-È-Imaam Ko Dasa Tha.
Hazrat-E-Imaam Ne Farmaya Ki: “Hadees Bayan Karte Huye Ye Bichchhu Mujhe Das Raha Tha. Magar Maine Ehteraam-E-Hadees Ke Pesh-E-Nazar Hadees Ka Dars Na Chhoda. Mera Kya Hai, Kuchh Ho Magar Hadees Ka Adab-O-Ehteraam Bahar Haal Muqaddam Hai.”
-: (Sachchi Hikaayaat Safa. 368)

Huzoor Taariki Me Iss Tarhaa Dekhte The Jis Tarha ……

Ummul Momineen Hazrat-E-Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Se Riwayat Hai Ke
“Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Taariki (Andheire) Me Iss Tarhaa Dekhte The
Jis Tarhaa Tamam Log Raushani Aur Noor Me Dekhte Hai”
-: (Baihaqi Sharif)

Ambiya Wirasat Me Sirf Ilm Chhodte Hai ……

Abu Darda Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki,
Nabi-e-Kareem Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Farmaya :
Ulama Ambiya Ke Waris Hai. Ambiya Wirasat Me
Na Duniya Chhodte Hai Aur Na Dirham, Balke Wo Wirasat Me
Ilm Chhodte Hai. Jis Ne Ise (Yani Ilm Ko) Hasil Kiya
Uss Ne Bada Hissa (Ambiya Ki Wirasat Main Se) Paa Liya.
-: (Ibne Maja : Hadees-223, Kitab Us Sunnat)



♥ Al-Quran ♥
 (Aye Imanwalo) Tum Sabse Bahetar Ummat Ho, Insano Ke Faide Ke Liye Tumhe Nikala (Paida) Kiya Gaya Hai, (Tum Bahetar Isliye Ho, Kiyun Ki) Tum Nek Kaamo Ke Liye Huqm Dete Ho Aur Bure Kaamo Par Ayetraz Kartey Ho Aur Allah Ke Upar Imaan Rakhte Ho.
 -: (Sureh Al-Imran : Ayat-110)

                       

Isa Alahi Salam Allah Ke Nabi Hai ……
Date: 25-12-2012


♥ Al-Quran ♥
“Mai (Hazrat-E-Isaa Alaihis Salaam) Allah Kaa Banda Hu .
Allah Ne Mujhe Kitaab(Injeel) Ataa Farmaaye Aur Mujhe Apna Nabi Banaaya”
-: (Surah Mariyam : Ayat 30)

♥ Al-Quran ♥
“Naa Allah Ki Koi Aulaad Hai Naa Allah Kisi Se Paidaa Huwa”
-: (Surah Ikhlas : Ayat 3)

Sabak : Inn Aayaton Se Saaf Maalum Hota Hai Ki “Hazrat Issa Alaihis Salaam Allah Ke Bete Nahi Nabi Hai. Kyuni Agar wo Bete hote Toh Khudko Nabi Ke Bajaye Beta hi Kehte, Woh Toh Allah Ke Aala Nabiyo(Prophets) Me Se Ek Nabi Hai” aur Unke Chahne Walo ne Unki Mohabbat Ke Sabab Unhe Allah Ka Beta Karar kar diya , Jab Ke Yeh Sach Nahi Hai …



Tum Ko Kis Cheez Ne Jahannum Me Dala? ……
Date: 25-12-2012

                   
♥ Al-Quran ♥
Jannati Jahannumio Se Sawal Karenge Ke,
Tum Ko Kis Cheez Ne Jahannum Me Dala?
(Jahnnami)Jawab Denge Ke Hum Namaaz Nahi Parte The
Aur Naa Hi Ham Mohtajo Ko Khana Khilate The.
-: (Surah – Al Mudassir : Aayat 40-43)



Beshaq Allah Hi Mera Aur Tumhara Rab Hai ……
Date: 23-12-2012



♥ Al-Quran ♥
Isa Alaihi Salam Ne Kaha, Beshaq Allah Hi Mera Aur Tumhara Rab Hai Isliye Usi Ki Bandagi Karo Jab Farishton Ne Kaha Eh Mariyam! Allah Tujhko Ek Betey Ki Apni Taraf Se Basharat (Khushkhabri) Deta Hai Uska Naam Maseeh Isa Ibn Mariam Hoga Jo Duniya Aur Aakhirat Mein Martabey Wala Hoga Aur Allah Ke Muqarrabo (Khas Bando) Mein Se Hoga Aur Jab Wo Maa Ki Gode Mein Hoga Aur Badi Umar Ka Hoga To Logon Se Baatein Karega Aur Neiko Mein Se Hoga
Mariyam Ne Kaha Eh Mere Rab Mujhe Beta Kaisey Hoga Halanki Mujhe Kisi Aadmi Ne Haath Tak Nahi Lagaya , Farmaya Isi Tarah Allah Jo Chahey Paida Karta Hai
Jab Kisi Kaam Ka Irada Karta Hai To Usko Yahi Kahta Hai Ki Ho Ja Towo Ho Jata Hai
Aur Wo (Allah) Unhey (Isa Alaihi Salam Ko ) Likhna ( Parhna) Aur Danayee Aur Taurat Aur Injeel (Gospel ) Sikhayega
Aur Unko (Isa Alaihi Salam) Ko Baniisraeel Ki Taraf Rasool Bana Kar Bhejega (Aur Wo Kahengey Ki) Beshaq Main Tumhari Rab Ki Tarafse Tumharey Pass
Nishaniyan Lekar Aaya Hu Ki Main Mitti Se Ek Parindey Ki Shakal Bana Deta Hu Phir Usmein Phoonk Marta Hu Aurwo Allah Ke Hukm Se Udta Hua Jaanwar Ho Jata Hai Aur Jo Maa Ke Pet Se Andhey Aur Kodi Hotey Hain Unhey Achcha Kar Deta Hu Aur Main Tumhey Bata Deta Hu Jokuch Tum Khakar Aao Aur Jo Kuchapney Gharon Mein
Rakhkar Aao Ismein Tumharey Liye Nishaniyan Hai Agar Tum Iman Waley Ho Aur Mujhse Pahli Kitab Jo Taurat ( Thebook Of Jews) Hai Uski Tasdeeq Karney Wala Hu Taki Tum Par Kuch Cheezein Halal Kar Du Jo Tumpar Haram Thi Aur Tumharey Passtumharey Rab Ki Taraf Se Nishani Lekar Aaya Hu Isliye Allah Se Daro Aur Mera Kaha Mano
Beshaq Allah Hi Mera Aur Tumhararab Hai Isliye Usi Ki Bandagi Karo Yahi Seedha Raasta Hai
-: Surah Aal-E-Imran (3), Verse 45-51


Allah Koun Hai ????
Date: 10-12-2012

                         

♥ Al-Quran ♥
Woh (ALLAH) Jiske Haath Me Baadshahi Hai, Bada Barkat Wala Hai
Aur Woh Har Cheez Par Qaadir Hai, Jisney Maut Aur Zindagi Ko Paida Kiya
Taaki Tumhein Aazmaye Ki Tum Me Se Sabse Behtar Kaun Hai,
Apne Amaalo Mein, Aur Woh ‘RAB’ Hai, Aur Woh Maaf Karne Wala Raheem Hai.”
-: (Surah Al Mulk (67), Verse 1-2)

1 comment:

ASSLAMUALIKUM
if you have any question about islam (or) sunni islamic then plezz ask me i am glad clear you mind with proof in islamic culture.
THANKS,
YA PEER..