Eid-E-Miladun Nabi Mubarak..........
In Sawalo ka jawab tum duniya main……
In Sawalo ka jawab tum Duniya main nai day sktay toh Akhriat main Kaisay do gay?????» Tum Apni Aulad ki Wiladat par khush tha ……
aur Apne NABI (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki wiladat
par khush nahi Akhir Q????
» Tum ne Aulad ki Khushi main Dawat ki………
Apne NABI (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki wiladat ki
( khushi me ) dawat ko bid’at kaha Akhir Q????
» Tum ne Aulad ki Shadi par Ghar sajaya…………
magar JASHAN-E-WILADAT pe ghar
sajane ko Bid’at kaha Akhir Q ????
» Tum ne har Khushi Bagair kisi Daleel ke manai………
Par Wiladat-e-NABI (Sallallahu Alaihay Wasallam) manane par Daleel mangi Akhir Q?????
Jawab Hai ?????????……………
Miladun NABI Ke Sabut QUR’AN Se.....
1. Surah – DUHA:11
2. Surah – FAT’H:28
3. Surah – SAF:6
4. Surah – TAUBA:128
5. Surah – IMRAN:164
6. Surah – YUNUS:57/58
7. Surah – AMBIYA:107
» Huzoor Ke Zamane Me Masjid-E-Nabwi Me Milaad Huyi Isme Khud Huzoor Ne
Apni Wiladat Ke Fafail Bayan kiye.
- (Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa 201)
» QUR’AN:
Tum Farmao ALLAH Hi Ke Fazal Aur Usi Ki Rehmat Aur Usi Par Chahiye Ke Khushi Manao.
- (Tarjuma: Kanzul imaan,Surah YUNUS:58)
ALLAH Ki Rehmat NABI-E-KAREEM Hai
» Khud NABE-E-PAK Ne Apne Milad Par ALLAH Ka Shukra Bajaa Lane Ki Talkin Farmayi Aur Targib Di
- (Muslim Jild 2,Safa 819, Nisaai Jild 2,Safa 147, Baihaqi Jild 4,Safa 286)
» Hum (SAHABA) Sab Apne Bachcho Samet Huzoor Ke Istiqbal Ke Liye Wida Ki Ghatiyo Tak Gaye.
- (Bukhari Jild 1, Safa 543)
Yahi Juloos-E-Milad Hai
» Sahaba Aur Tabain Aur Digar Ahle Islam Ne Peer Ke Din Ka Roza Rakh Kar Bhi Milaad Manaya.
- (Abu Daawud Jild-1, Safa-331)
Eid-E-Miladun Nabi Mubarak Kyu Manate hai? ….
12 Rabiul Awwal Sharif ka wo Mubarak Din hai jisme Aaftab-e-Risalat ne Tulue hokar tamam Duniya ko apni Roshni se Munawwar kar diya. Farjandane Tohid iss Din ko yaad karke Dili khushi ka izhar karte hai. Sham-E-Risalat ke parwane Sarwar-E-Qaynat Ki Muqaddas Sirat, Fazail wa kamalat, Humdo Naat ke Purkaif nagmo se apne Dilo ko Munawwar karke Rub Tala ka Shukriya Karte hai aur Apne Aaqa Ke Darbar me Dilse Durood-o-Salaam pesh karke sa’adat Darren hasil karte hai.Lekin baj aise Badnasib bhi hai jo Wiladat-e-Rasool par khushi ki iss badi sa’adat se Mehrum hai aur Dusre Musalmano ko bhi Mehrum Karne ki Koshish karte hai.
Quran-E-Muqaddas me Allah irshad farmata hai,
“Yad dilao Unhe Allah tala ke din” -: (Surah Ibrahim)
Issi aayat ke tehat Hazrat Abdullah Bin Abbas farmate hai ke “Ayyamullah se Murada wo din hai jinme Allah Ta’ala ne Apne Bando par inaam aur nemato ki barish farmayi”. Aur Allah Ta’ala farmata hai
“Ae Mehboob Aap Farma de Allah ke Fajal aur uski Rehmat ke milne par chahiye ke log khub Khushi kare aur apne Rab ke Fajal ki khub charcha kare”
-: (Surah Yunus)
Toh Yakinan Rehmat-E-Aalam ki wiladat se badh kar aur kya neamat ho sakti hai.
Sahibe Tafsire Ruhool bayan farmate hai ki, “Milad Sharif Karna bhi Rasool-E-Akram ki TaZim hai”
-: (Jild 5, Safa 661)
Beshak Milad-E-Mustfa Shab-E-Eid, Shab-E-Meraj, Shabebarat yaha tak ke Lailatul Qadra se bhi Afzal hai. Kyunki ye sub Raatein Huzoor hi ke Sadqe aur Tufail me Hum Musalmano ko nasib hui hai. Khushi jahir karne ka waqt Lailatul Qadra he toh Huzoor ke juhnor ka waqt Eid-E-Milad hai. Milaudun Nabi ka Sabut Quran-E-Pak me Para-3, Ruku-16 me bhi saf maujud hai. Jo iska inkar karte hai wo Quran ke Munkir hai.
Allah pak Musalmano ko Milad-E-Mustfa ke tufail har gumrahi se mehfooz rakhe. Aur hum subko Humare Pyare Aaqa Ki Pyari Sunnato par amal karne ki tofik ata farmaye. Allah tala is Mubarak Din Ke Sadke aur tufail hum subki pareshaniya dur farmaye.
Aameen
(Ek Martba Durud-E-Pak padhe)
3.
Eid-e-Miladun NABI Manana Jaiz hai……
3 Ayat par Behas Khatam:
Eid-e-Miladun NABI Sallallahu Alaihi Wasallam manana Jaiz hai. Dekhona, Quran Khud kehta hai ke :
1. “Jab ALLAH ki Rehmat nazil ho to uske nazil hone pe Khushia manao”. – (10:58)
2. Aur Hamare Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam to Rehmatullil Alamin hai. -(21:107)
3. Quran to khud kehta hai ke ALLAH ke dino ko yaad karo .- (14:5)
Abb ALLAH ke dino ko agar hum yaad na kare to kon karey ga. Aur jis roz Mere AKA Sallallahu Alaihi Wasallam aye hai, wo to Subse Behtarin din hai. Ishiliye Olema kehte hai ke Eid-MiladunNabi Eid-e- Azam hai
Aur jo bhi kahe ke Eid-Miladun-Nabi manana biddat hai , samjle ki usne Allah ki Jaat me shirk kiya , kyonki yeh Sarasar Allah ki Nafrmani hi hai
No comments:
Post a Comment
ASSLAMUALIKUM
if you have any question about islam (or) sunni islamic then plezz ask me i am glad clear you mind with proof in islamic culture.
THANKS,
YA PEER..