Monday, 31 December 2012


 

Tum Me Se Koi Shakhs Imaan Vala Na Hoga, Jab Tak ……

Hazrat Anas Radi Allahu Anhu Farmate Hain Ke,
Nabi-e-Kareem Sallallahu Alahi Wasallam Ne Farmaya::
“Tum Me Se Koi Shakhs Imaan Vala Na Hoga, Jab Tak
Apne Bhai Ke Liye Vo Na Chahe Jo Apne Nafs Ke Liye Chahta Hai”
-: (Sahih Bukhari;2 {Kitab-Al-Imaan;7})
»

Husn Akhlaq Ki Kimat ……

Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
“Qayamat Ke Din Jab Tarazu Me Amaal Tole Jaenge Toh
(Momin Ka) Sab Se Bhari Aamal Husn Akhlaq Hoga.”
-: (Ibn Haban H#876)

Kisi Be-Qasoor Musalman Par Ilzam …

Huzur Sallallahu Alaihay Wasallam Ne Farmaya Ke,
“Kisi Be-Qasoor Musalman Par Ilzam Lagana
Aasman-O-Zameen Se Bhi Bhaari Gunaah Hai.”
-: (Bukhari V-1p-330)
«««

Main Tumhe Pith Ke Piche Se Bhi Dekhta Hoon ……

Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
“Tum Kya Yehi Dekhte Ho Ke Mera Munh Idhar Hai, Allah Ki Kasam!
Mujh Par Na Tumhara Khushu Wa Khuzu
Poshida (Humility And Fear Of Allah) Hai Aur Na Tumhare Ruku.
Main Tumhe Pith Ke Piche Se Bhi Dekhta Hoon.
-: (Bukhari, Jild : 1, Page : 255)

Azaan Aur Iqaamat Ke Darmiyan Dua’en Radd Nahi ……

Nabi-e-Rehmat (Sallallaho Alahi Wasallam) Ne Farmaya :
“Azaan Aur Iqaamat Ke Darmiyan Dua’en Radd Nahi Hoti,
Lihaza Dua Maanga Karo”
-: (Bukhari Sharif)

No comments:

Post a Comment

ASSLAMUALIKUM
if you have any question about islam (or) sunni islamic then plezz ask me i am glad clear you mind with proof in islamic culture.
THANKS,
YA PEER..